Tumhara yu aansu bahana mujhe acha nahi lagta,
Tumhara yu bichhad jana mujhe acha nahi lagta,
Tumhara humsafar hona mujhe acha to lagta hai,
Tumhara yu thak ke ruk jana mujhe acha nahi lagta,
Tumhara pyar mein larna mujhe acha to lagta hai,
Magar khamosh ho jana mujhe acha nahi lagta,
Tumhari in haseen aankhon pe main jaan deta hoon,
Suuno! in ka chhalak jana mujhe acha nahi lagta.