Thursday, 20 June 2013

The Big Envelop





Ek baar ki baat hai
Ek boy hota hai
Kabhi kabhi wo bahut pareshan hone lagta hai or 
samasya ko hal kar nahi pata ...

ek din wo apne Guruji ke pass gya

Guruji ne uske ek Packed envelop diya.
or kaha
" Beta..Jab kabhi bhi tum pe bahut hi adhik musibat aaye ya kabhi koi bhi problem ho to ye envelop open kar lena....
Lekin  iss envelop ko open karne se phele tum problem ko solved karne key liye apne sari mehnat laga dena."

Uss ladke ne wo envelop guruji se le liya.
Guruji ne usko achey bhavishya ka arshiwad diya.
(have a graceful future - ye bola tha)

Or dhere dhere waqt gujarta chala gya.
Uss ladke key jiwan main bahut si problem aayi, or wo sabke solve karta chala gya.. 


usko kabhi aisa nahi laga ki wo envelop open kare
or

Kuch waqt ke sath wo ladka budha ho gya..

or budha hone ke baad mar gya...
Lekin Marne key baar kahani khatam nahi hoti...

Or marne ke baad jab uss ladke ne atma  ne socha ki kyu na ab  is envelop ko open kar key dekha jaye ..akhir guruji ne usmai kya diya tha..
or uss ladke ne envelop open kiya or dekha ki.....
uss envelop main kuch nahi tha... wo envelop bilkul khaali tha...
phir uss ladke ki atma ne apne guruji se pucha ki
"Guruji ye envelop to khali hai or aapne kaha tha ki ismain samasya ka samadhan hai"
Guruji ne reply diya
"Beta ... Jiwan ka mantra yahi hai ki .. hum hamesha koshish kare or kabhi haar na maane to sari samasya solve ho jati hai
Tumhe umeed thi.. ki iss envelop main shayad kuch aisa hai...jiss se sari problem hal ho jati hai..bas iss umeed se ho tumhari sari problems solve hoti chali gyi...or tum jeetety chale gye...."




Moral- Umeed ka diya hamesha jalakar rakhna chahiye.

Tuesday, 18 June 2013

kuch khas


Din or din beet rahe hai, aur andhery key liye,

kuch phul chun liye hai, khajana bharne key liye,

samaye kuch nafrat bhara huya hai, ujale key liye,

ek jadu sa tyar ho raha hai, khushi key liye,

main dekh raha hu chehre, kuch apnapan key liye,

ho rahi hai barishey , kuch kehne key liye,

lekin ye sunder andhera chaya hai ek khamosi key liye,

kuch khas nahi bacha, khalipan bharne ke liya,

to be continuee........





Monday, 10 June 2013

hum nazuk se dil wale

hum nazuk nazuk dil wale

kabhi hastey or hasate hai


kabhi mehfil ko hasate hai


kabhi tanhiayoo main rote hai


kabhi bade bade kwab sajatey hai
 

kabhi sunder mehfil sajatey hai
 

kabhi tanha tanha rehtey hai
 

kabhi bheed hum sajatey hai
 

kabhi shayari se mil jatey hai
 

kabhi khud hi shayar ban jatey hai
 

kabhi sabka dil behlatey hai
 

kabhi khud ko hi bhul jatey hai
 

kabhi jamaney tak nahi sotey hai
 

kabhi chaltey chaltey hi so jatey hai
 

hum nazuk nazuk dil wale
 

bas sabki mehfil sajatey hai